Saman shatab kar day meray dil kay chain ka!!!

Featured

makkah2

1.MALIK KIA HAI TU NE JISEY MASHRIQAIN KA

LAKHTE JIGAR HAI FATEH BADRO HUNAIN KA

JIS KE LEA HAI GHALGHALA YE SHORO SHEN KA

SADQA JANAB E FATIMA KE NOOR AL AIN KA

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

2.YA RAZIQ AL ABAD YA KHALIQ AL NAJOOM

YA DAFE AL BLA O YA KASHIF AL AMOOM

BANDUN PE TERA FAZAL O KARAM HAI BIL AMOOM

GARDISH MAIN MERA AAJ KAL HAI BAKHT NEHS O SHOOM

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

3.MUKHTAR E QAINAT HAI AYE RAB E QAINAT

MURDE KO BAKHSH DETA HAI TU KHIZER KI HAYAT

TERE SIWA NAHI HAI KISI KO KAHIN SABAT

SADQA RASUL PAK KA DE RANJ SE NAJAAT

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

madina7

4.TU BADSHAH KHALQ HAI AYE RAB E MASHRIQAIN

TASKEEN TUJH SE HOTI HAI DIL JIGAR KO CHAIN

YA RAB ADAA HO MERE SIR SE SAB KA DAIN

MATLOOB HAI MILA DE PAE FATEH HUNAIN

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN

KA PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

5.TU SAB KA KAR SAAZ HAI AYE RAB E BENIAZ

MEHMOOD TERA NAAM HAI BANDA HUN MAIN AYAZ

ZAHIR HAI TUJH PE JO KE HAI BANDA KE DIL MAIN RAAZ

TERE SIWA HAI KON KARUN AAJ JIS PE NAZ

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWARDIGAR WASTA HAI KHOON HUSSAIN KA

najaf

6.HAJAT RAWAI KER MERI AYE RAB  e DOSRA

SADQA NABI KI ROOH KA KER RANJ SE RAHA

MABOOD TERA ABAD HAI AFAT MAIN MUBTALA

TERE SIWA MAIN KIS SE KERUN DIL KA MUDUA

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

7.JESA TU BADSHAH HAI WESA HE HAI WAZEER

TERE WAZEER KI NAHI KONAIN MAIN NAZEER

REHMAT SE TERI PAYA HAI KYA RUTBA KASEER

UMAT KA KHER KHAWA RASULUN KA DASTAGEER

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

8.MEHBOOB KIBRIYA HAI LAQAB SHAF E IMAM

GARDUN PE QUDSIUN NE KIA HAI JISE SALAM

JIBREEL DAR PE LATEY THEY JIS KE SADA PIYAM

SADQA MAIN US KE BAKHSH DE MERE GUNAH TAMAM

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

9.YA RAB TERE NABI KA WASI BHI HAI LA JAWAB

WOH AFTAB DIN HAI TOU HAIDER HAI MAHTAAB

TERI JANAB SE USEY KYA KYA MILEY KHITAB

KHAIBER KUSHA AMEER ARAB AUR ABU TARAB

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

10.RUTBEY ALI KE SAB PE HAI ALAM MAI ASHKAR

ZOJA MILI BATOOL SI HAIDER KO GHAM GUSAAR

BINT E RASOOL MARYAM O HAWAA KA IFTEKHAR

DETI HUN WASTA USI BIBI KA KIRDGAR

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

11.YA RAB MAIN TUJH KO DETI HUN SHABIR KA WASTA

JIS KO KHITAB SYED MASOOM KA MILA

JO ZAHER SE SHAHEED TERI RAH MAIN HUA

SADQA HASSAN KI ROOH KA IMDAD KER KHUDA

Shamah SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

12.AYE KIRDIGAR BEHR SHEHNSHAH KARBALA

MADAH KO HUSSAIN KE KER RANJ SE RAHA

YA RAB HUA HAI JO KE TERI RAH MAIN FIDA

DETI HUN WASTA MAIN USI ROOH PAAK KA

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWARDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

karbala-1-

13.JIS NE KE TERI RAH MAIN SAB GHER KIA NISAR

SHANE HUEY HAIN JIS KE TE TEGH AABDAR

NOK SINA SE JIS KA KALEJA HUA FIGAR

BEHR E JANAB E ZAINAB O KALSOOM KIRDGAR

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

14.YA RAB HUA HAI JO KE TERI RAH MAIN ASEER

NOK E SINA SE JIS KO STATE RAHE SHAREER

DADA KO JIS KE TU NE KIA KHALQ KA AMEER

ZAIN AL ABA KA WASTA AYE QADIR E QADEER

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

15.AYE KIRDIGAR TIFLI MAIN JO QAID MAIN RAHA

BABA KE SATH SHAM MAIN JIS PE HUI JAFA

HALQA RASAN KA JIS KE GALEY MAIN BANDHA

RAHA SADQA IMAM BAQIR AALI MUQAM KA

SAMAN SHATAMB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

16.YA RAB HUMARE JAFER SADIQ JO HAIN IMAM

JIS NE TERI JANAB SE PAYA HAI EHTISHAM

ROZEY PE JIS KE ATEY HAI QUDSI PE SALAM

HASIL HUN DIL KE MAQSAD O MATLAB MERE TAMAM

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

17.AYE ZULJALAL MOSA KAZIM HAI JIN KA NAAM

JIN KO JAHAN MAIN SATWAN TU NE KIA IMAM

AUR APNE QURB E KHAS MAIN TU NE DIA MUQAAM

DUNIA MAIN MOMANEEN RAHEIN MASROOR SHAD KAAM

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN

KA PERWARDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

18.BEHR E RAZA NIJAAT DE AYE KUL KE BADSHAH

KHUSHKI MAIN MERI HOTI HAI KASHTI YAHAN TABAH

ROZAA KO JIS KE TU NE KIA ARSH E BARGAH

US KE GHULAM PER BHI RAHE LUTF KI NIGAH

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON HUSSAIN KA

19.YA RAB TAQI HAI JO KE DO ALAM KA MIQTADA

TAQWA BHI JIS KE NAAM SE MUMTAZ HO GYA

MAZKOOR JIS KA AYA HAI QURAN MAIN JA BAJA

US DAAM E QARZ SE MUJHE AB JALD KER RAHA

SAMAN SHATAB KER DE MERE DIL KE CHAIN KA

PERWERDIGAR WASTA KHOON E HUSSAIN KA

Bandeshain by Ibn e Mufti

Featured

b1

Bandeshain.gif002

Bandeshain.gif003

Bandeshain.gif004

Bandeshain.gif005

Bandeshain.gif006

Bandeshain.gif007

Bandeshain.gif008

Bandeshain009

 

Comments on the story from  www.myopera.com/ibnemufti

Khair Bakhshkhairbakhsh # Monday, February 28, 2011 11:32:57 AM

Welcome Ibnmufti, othan to zabardast hy chalo aage dekhte hain k kia twist leti hy kahani….

Unregistered user # Friday, February 11, 2011 7:35:40 AM

Gul Ahmed writes: ibne mufti ka afsana par k esy laga jesy humary mohashary mi mojood na-insafio ka parda chak kia gaya ho….!!! is mi shak ni k alfaz ka chanao nehayat jandar hy aur markazi khayal b shandar, GEo MUfTi… zoor-e-kalam aur 

Khair Bakhshkhairbakhsh # Monday, February 28, 2011 11:54:48 AM

Ibn Mufti, excellent my dear. Bahut dinoo k baad myopera khola to aap ke
id dekh kr idhr chala aaya aor Bandeshain parha, aap ki pehle 2noo contribution yaad agye. Wohi lafzoo ki kar’wahat aor jazboo ki moat! Yar, aap ki har tehreer mujhe rula deti hy. Mian Miskeen to abhi tak mujhe yaad hy… 

Muhammed Baseer Ali H,ibn e muftiibnemufti # Thursday, March 3, 2011 9:45:57 PM

Originally posted by khairbakhsh:

Wohi lafzoo ki kar’wahat aor jazboo ki moat! Yar, aap ki har tehreer mujhe rula deti hy.

mashkoor hun.
dedar karaty rahyee. 

MuaviaMuavia2 # Tuesday, April 26, 2011 6:49:01 PM

me parta rha, malom nahi me kia ta or kaha ta, behr haal ek bayanak khwab, ek bura sapna, ek aisa bazar k jaha khobsorat jazbo ke sat zina biljibr, ek aisi wadi k jaha ka charty soraj ke ek haat mai zindgi ki pias bujany klye khoon or dosry haat mai zindgi ke qarar or sukoon klye zehr ki piali ho orr her dahlta soraj hamary nachar shahoor or zameer pe khandazan, ek aisa tareek choraha k jiska ek rasta ek gumnaam sehra ki taraf or dosra rasta be ab wo gia or sunsaan medano ki taraf nikalta ho. kahani khatam hogyai to aisa laga ke kisi ne zordar gonsa mere sr pe raseed ki ho. me ne allah ka shukar ada kia ke YA ALLAH TERA LAAK LAAK SHUKAR HAI KE DUNIYA KM SE KM AB TK WIASI TO NAHI, ORR NA HI ZINDGI ITNI BERONAK OR BADAAM KE KHALI KHOL KI TARAH HAI KE JIS TARA HAMARY MUFTI SAAB KE QALAM KI KAWISH SE HOTY HOTY REH GAYI HAI. Khuda ka khof karo mufti saab, tm hamary ujry daman mai orr kitny ched karogy orr hamary luty howy kafiley ki raho ko orr konsy registan ki taraf dakelogy?
 

MuaviaMuavia2 # Tuesday, April 26, 2011 7:23:36 PM

tere her lafz ke haat mai ek aisa khanjar jo sirf zindagi ka hi gala kaat sakta ho orr tere kahani(BANDISHAIN) k her mor insani zindgi klye sahi mano mai holnak hai, tere kahani(BANDISHAIN) ke baground music ki dhun iske ilawa orr kia hosakti hai keh HEY LOGON UTTO ORR ZINDGI KO AZMAT KI BULANDION SE GIRA KR ZILAT ORR PASTI KE QABRISTAN MAI DAFAN KERDO QK ZINDGI NE PASTI KE QABRISTAN MAI HI DAFAN HONA HAI . keu daraty ho mere bacho ko yar? kitini mushkilo se me ne inhe zindgi se piyar or insani rishto se mohabat or wafadari ki rah dikayi hai, tmhare kahani ki roh se to zindgi ek aisi ibadat khany ki manind hogayi hai keh jaha??????????????? maaf kerna mai tora jazbati sa hogya ta. Allah mj pe or tm pe rehem karain, agr hamy rehem ki beek na mili to kia tikana 

Muhammed Baseer Ali H,ibn e muftiibnemufti # Wednesday, April 27, 2011 9:41:35 AM

hymmmm!sach tu sach hota ha na!ab qasoor ankhoon ka kaho ya manzar ka….kis ko parwa!shukriaaaaaaaaaaaaaaaaaa jan e baradar!

“meray ahbab kahtay hain yehi ek aib ha mujh main!
saray dewaar likhta hun pas e dewaar k qisay!!!!

Unregistered user # Wednesday, May 1, 2013 7:23:39 PM

fakhira writes: mje nahi samjh arahi k comment mai kia likhon but aik aik line mai hakikat chupi hui nazar arahi hai….ksi k bekasoor hoty hoye b kasoor waar hona nazar arha hai..ye dunia hai yahan sab kuch hota hai…kuch log kehty hain k afsany hakikat mai nahi hoty ye takhiyool ki zuban hoty hain par mai nahi manti ye dunia hai aur yahan har waqt kisi na kisi goshy mai kisi na ksi kony mai kisi na kisi be kasoor k sath kasoor waar ka tag laga k us ko sangsaar kiya ja rha hota hai…..anyways its great aur aik mukamal tarjumani hai mazloom ki…….. 

Muhammed Baseer Ali H,ibn e muftiibnemufti # Friday, May 3, 2013 7:36:57 PM

well!ur words reflects wisdom,ty for giving feed backOriginally posted by anonymous:

fakhira writes:

mje nahi samjh arahi k comment mai kia likhon but aik aik line mai hakikat chupi hui nazar arahi hai….ksi k bekasoor hoty hoye b kasoor waar hona nazar arha hai..ye dunia hai yahan sab kuch hota hai…kuch log kehty hain k afsany hakikat mai nahi hoty ye takhiyool ki zuban hoty hain par mai nahi manti ye dunia hai aur yahan har waqt kisi na kisi goshy mai kisi na ksi kony mai kisi na kisi be kasoor k sath kasoor waar ka tag laga k us ko sangsaar kiya ja rha hota hai…..anyways its great aur aik mukamal tarjumani hai mazloom ki……..

 

translation and Comenteray. of famous nasheed Lam yate nazero kafe nazarin of ala hazrat imam ahmed raza khan

Image

LAM YATI NAZEERO KAFE NAZARIN

amyat e nazeero kafe nazarin

lam yate nazaeero kafe nazarin

amyat e nazeero kafe nazarin

4

5

amyat e nazeero kafe nazarin

http://my.opera.com/ibnemufti/blog/2012/02/29/translation-and-comenteray-of-famous-nasheed-lam-yat?cid=113600122#comment113600122

 

Comments from the blog

 

Unregistered user # Tuesday, September 4, 2012 10:02:01 PM

hamayun writes: good work

 

Unregistered user # Tuesday, October 16, 2012 5:20:37 AM

Najam writes: I was serching lyrics of this Naat but this marvelous translation not only provide me lyrics but also satisfaction to my spirit. Thanks, good work

 

Muhammed Baseer Ali H,ibn e muftiibnemufti # Thursday, November 22, 2012 2:50:41 PM

Originally posted by anonymous:

hamayun writes:

good work

Originally posted by anonymous:

Najam writes:

I was serching lyrics of this Naat but this marvelous translation not only provide me lyrics but also satisfaction to my spirit. Thanks, good work

Alhumdulilla!jazak Allah!please spread all classic nasheed’s and specially “kalam e ala hazrat” with explanation,it will definitely increase our affection towards MADINA and Sahib e Madina sal lal laho alhi wa’alhee wabarik wasalam! faqt…ibm

 

Unregistered user # Wednesday, December 19, 2012 6:22:27 PM

Mudassar KHan writes: thanx for share it..! jazak ALLAh…! Aala Hazrat ki ye naat jab bhi sunta hon aeman taza ho jata hy…! aik ajeeb c kefiyat hoti hy jis mein bht lazat hy…!

 

Unregistered user # Tuesday, January 15, 2013 4:52:33 PM

Anonymous writes: thank you so much,

 

Unregistered user # Friday, March 1, 2013 4:11:50 PM

anam01 writes: This the best Urdu translation of the beautiful Naat by Hazrat Ahmed Raza Khan Barelvi. anwarkhan

 

Unregistered user # Thursday, April 25, 2013 6:30:14 PM

Anonymous writes: Guys, I want to have this book that is being displayed here … can someone share this book information? Jazaakallah

 

Unregistered user # Wednesday, June 26, 2013 9:51:26 AM

bilal writes: subhanAllah yeh Aala hazrat ka kalaam he kisi erey ghery ka nahi. good work MashaAllah.

 

Unregistered user # Sunday, June 30, 2013 11:09:43 PM

Usman writes: Great Work. God Bless U.

 

Unregistered user # Tuesday, July 16, 2013 10:40:33 AM

Rao waqas ahmed writes: Maha Allah. bohut piyari naat hai.. mein translation upload karny waly ka shukar guzar hoon. Jazak ALLAH.

 

Unregistered user # Saturday, July 20, 2013 8:14:30 AM

aleem writes: when my schooling started, in Al-Khalid scholars high school, Lilla ; this was the first naat I listened in Assembly, and it was frequently read by a senior boy, what a splendid time that was, really miss those days…….God bless them all schoolers , the teachers . Wish to meet them all some day………..

 

Unregistered user # Thursday, July 25, 2013 7:18:50 PM

Anonymous writes: I was finding the lyrics but can’t find any where. these are the best lyrics with definition.

 

Muhammed Baseer Ali H,ibn e muftiibnemufti # Saturday, July 27, 2013 12:47:16 PM

Jazak Allah ho khaira! Kindly all brothers n sisters spread the link of the post on facebook,twiter,blogs n if u have website,add the link.

mulk e sukhan ki shahhi…tum ko Raza musalim!
Jis simat agaye ho sikhy betha deye hain.

 

Unregistered user # Saturday, November 9, 2013 9:10:33 AM

Arsalan khanzada writes: Allah bless you my friend……

 

Unregistered user # Thursday, November 14, 2013 5:23:20 PM

asad writes: thanks man i dont know who are u but i can say oly one thing u r doing a WONDERFUL WORK my words cannot explain!!!!

 

Muhammed Baseer Ali H,ibn e muftiibnemufti # Sunday, November 17, 2013 10:58:57 PM

jazak Allah!shiffting my blog to wordpress due to new policy of opera!help me to make my google ranking better there!share my posts and blog links !https://ibnemufti.wordpress.com

Originally posted by anonymous:

asad writes:

thanks
man i dont know who are u 
but i can say oly one thing
u r
doing a WONDERFUL WORK
my words cannot explain!!!!

 

phool lay kar agay aya rota huwa,Musheer Kazmi

Phool lay kar gaya,aya rota howa!!
Baat assi ha kahny ka yara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada!!
Ye chaman mujh ko adha gawara nhi!

Shahr e matam tha iqbal ka maqbra!
Khun main laat paat kharay thay leyaqt ali

Rooh e qaid bhi sar ko jhokay howay
Kah rahy thay ye kya ghazab ho gaya
Ye tasawur tu har giz hamara nahi
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi

Qabar e iqbal say arhai thi sada..

Sar nigun tha qabar pay minar e watan
Kah raha tha k ay tajdar e watan
Ajj k no jawun ko bhala kya khabar
Kasay qayim hoa ye minar e watan.

Jis ki khatir katay mard o zaan
On ki tasweer ha ye minara nahi!
qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye watan mujh ko adha gawara nahi!

Kuch aseeran e gulshan thay hazir wahan!
Kuch seyasi mahashy bhi mojod thay!
Chand tarun k parcham main liptay hoay!
Chand tarun k lashay bhi mojood thay!

Mera hansna tu pahly he ik juram tha!
Mera rona bhi on ko gawara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada…

Kya fasana kahun mazi o haal ka
Shair tha ma ik,araz bangal ka!
Sharq say gharab tak meri parwaz thi!
Aik shaheen tha ma zahain e iqbal ka!!

Aik bazo pay urta hun ma ajj kal!!
Dosra dushmano ko gawara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye chaman.mujh ko adha gawara nahi!

Yun tu kahnay ko ghar ha salamat rahy!
Khench de ghar main dewar aghiyar nay!
Aik thay jo kabhi ajj do ho gay!
Tokray kar dala dushman ki talwar nay!
Sar nigun ho gay,sar figun ho gay!!
Jesay koi bhi reshta hamra nahi!

Kuch tumhri nazakat ki majboriun
Kuch hamari sharaft ki majboriun
Tum nay rokay muhabat k khud rastay
Is tarhan barhti gain dooriun!
Khol don tum pay raz e muhabat magar!
Teri roswaiun bhi gawara nahi!
Qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi!

Wo jo tasweer mujh ko dekhai gai!
Meray khoon e jigar say banai gai!
Qom e maao bahnoo ki jo abroo!!
Naqsha e asia pay sajai gai!!
Mor do abro,ya wo tasweer do!!
Hum ko hisun main batna gawara nahi!

Qabar e iqbal say arhi thi sada!!
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi!

Late Musheer Kazmi

Late Musheer Kazmi